Male and Female Dancer Audition Monologue - WoB Script 129

Male and Female Dancer Audition Monologue 



Character    : Male & Female (Dancer)
Screenplay  : Dancer baane ka supna leke Mumbai aane ke bad jo jo struggling kiya uske bare me dance show ke award me batate huye...


Male Dancer Audition Monologue : 

Dialogues : Hello Guys humein hamesha sapne bade dekhne chahiye... Aur unhe pura karne ki himmat rakhni chahiye... Ha kisi ke sapne jaldi pure hote hai aur kisi ke der se... magar mehnat karoge toh anth mein sapne pure honge zarur..
Toh agar meri baat karu toh aaj mai khudko kushkismat mehsus kar raha hu ki maine aaj apne maa ka sapna pura kiya... Ji ha meri maa ka sapna, Unka sapna tha ki main ek dancer banu... Toh aaj mai behad khush hu ye show jeet kar... Lekin ye safar itna aasan nahi tha... Jab main pehli baar yaha Mumbai aaya tha toh mujhe kuch pata nahi tha ki kya karna hai... Toh shuruwaat mein mai hotel mein bartan dhone ka kaam kiya karta tha... Phir background dancer ka kaam kiya... Aur jis dance show ka aaj main vijeeta hu ussi dance show ko dekhne ke liye main roz aaya karta tha... Aur uss audience mein beithta tha... Aur contestants ko dekhkar man karta tha dance karne ka... Tabhi dil mein thaan li thi ki ek din mai bhi uss stage pe dance karunga... Aur ek din puri duniya mujhe ek dancer ke naam se pehchanegi... Aaj ussi lagan ke kaaran mai yaha aap sabhi ke saamne kadha hu... Trophy ke saath... Toh dosto karam karte jao... Fal aapko awashya milega... and thank you sabhi ko... Mujhe itna pyaar aur support dene ke liye... love you all.!!

Female Dancer Audition Monologue : 

Dialogues : Hello Guys humein hamesha sapne bade dekhne chahiye... Aur unhe pura karne ki himmat rakhni chahiye... Ha kisi ke sapne jaldi pure hote hai to kisi ke der se... Magar mehnat karoge toh anth mein sapne pure honge zarur....
Toh agar meri baat karu toh aaj mai khud ko kushkismat mehsus kar rahi hu ki maine aaj apne maa ka sapna pura kiya... Ji ha meri maa ka sapna... Unka sapna tha ki main ek achhi dancer banu... Toh aaj main behad khush hu ye show jeet kar... Lekin ye safar itna aasan nahi tha... Jab main pehli baar yaha Mumbai aayi thi toh mujhe kuch pata nahi tha ki kya karna hai... Toh shuruwaat mein mai hotel mein bartan dhone... Jhadu Poncha ka kaam kiya karti thi... Phir background dancer ka kaam kiya... Aur jis dance show ka aaj main vijeeta hui hun... ussi dance show ko dekhne ke liye main roz aaya karti thi... Aur uss audience mein beithati thi... Aur contestants ko dekhkar bahut man karta tha... dance karne ka... Tabhi dil mein thaan li thi ki ek din mai bhi uss stage pe dance karungi... Aur ek din puri duniya mujhe ek dancer ke naam se pehchanegi... Aaj ussi lagan ke kaaran main yaha aap sabhi ke saamne kadhi hu... Trophy ke
saath... Toh dosto karam karte jao... Fal aapko awashya milega... and thank you sabhi ko... Mujhe itna pyaar aur support dene ke liye... love you all.!!

Post a Comment

0 Comments