Berojgar Male and Female Actors Audition Monologue
Character : Male and Female Actors (Berojgar, Searching for New Job)
Screenplay : Ek banda job pane ke liye alg alg interview deta hai fir bhi usko job nahi milta hai... wo kisi ko apane jajbat share krte huye...
Berojgar Male Actor Audition Monologue For Job :
Dialogues : Sir kya bataye ab... Thak chuka hu... bahot zyada thak chuka hu... Main apni zindagi se... Ab koi rasta nazar nahi aata mujhe... Ab jaanta nahi hun ki iske aage kya karu...?
Aap jaante ho sir... Maine bahut koshish ki thi... ki iss baar ye naukri mil jaayegi mujhe... Magar nahi mili... Ha sir iss baar bhi main haar gaya... Ab samajh nahi aa raha hai... ki papa ko kya jawab du.... Peechli baar bahot paise kharch karke papa ne mujhe sheher bheja tha.... Par waha bhi main kuch kar nahi paaya... Ab toh aisa lagta hai ki main hi bekaar hu... Nakaara hum... Jo apni zindagi mein kuch kar nahi pa raha...(cry)...
Aap batayiye sir kya karu main...? Sala kabhi-kabaar toh lagta hai ki main jaan dede... Lekin phir mere saamne meri maa ka muskurata huaa chehra nazar aa jata hai... Phir sochta hun... Sir agar thoda bhi zinda hun toh woh sirf apne maa-baap ke liye... Kyunki mere siwa unka koi nahi hai iss duniya mein... Aur agar main hi chala gaye toh kya hoga unka.... Bus isiliye jee raha hun... Ha bilkul sahi kaha aapne sir.... Zindgi badi honi chahiye... Lambi nahi.... Ha aapki baat sahi hai... Main phir koshish karunga aur aaj nahi toh kal kaamiyaab zarur hounga... ji sir aapne itna samjhaya mujhe.... ab samajh gaye... shukriya..!
Berojgar Female Actor Audition Monologue For Job :
Dialogues : Sir kya bataye ab... Thak chuki hu... bahot zyada thak chuki hu... Main apni zindagi se... Ab koi rasta nazar nahi aa raha hai mujhe... Ab jaanti nahi hun ki iske aage kya karu...?
Aap jaante ho sir... Maine bahut koshish ki thi... ki iss baar ye naukri mil jaayegi mujhe... Magar nahi mili... Ha sir iss baar bhi main haar gayi... Ab samajh nahi aa raha hai... ki papa ko kya jawab du.... Peechli baar bahot paise kharch karke papa ne mujhe sheher bheja tha.... Par waha bhi main kuch kar nahi paayi... Ab toh aisa lagta hai ki main hi bekaar h.... Jo apni zindagi mein kuch nahi kar sakti...(cry)...
Aap batayiye sir kya karu main...? kabhi-kabaar toh lagta hai ki main jaan dede... Lekin phir mere saamne meri maa ka muskurata huaa chehra nazar aa jata hai... Phir sochti hun... Sir agar thodi si bhi zinda hun toh woh sirf apne maa-baap ke liye... Kyunki mere siwa unka koi nahi hai iss duniya mein... Aur agar main hi chali gayi toh kya hoga unka.... Bus isiliye jee rahi hun... Ha bilkul sahi kaha aapne sir.... Zindgi badi honi chahiye... Lambi nahi.... Ha aapki baat sahi hai... Main phir koshish karungi aur aaj nahi toh kal kaamiyaab zarur houngi... ji sir aapne itna samjhaya mujhe.... ab samajh gayi main... shukriya...Sir !
0 Comments