Blind (Andha) Character Male Audition Monologue Hindi Script - WoB Script 135

Blind (Andha) Character Male Audition Monologue Hindi Script



Character : Blind Male Actor (Andha) 
Screenplay: Ek andhe vakti ne ek girl se apni bejati hone ke bad bhi wo ache vichar parkat krte hai...


Andha Character Male Audition Monologue - 

Dialogues: Nahi anushka ji... Mujhe apki baaton ka bilkul bura nahi laga... Balki sach to ye hai ki main ek adhura insaan hu... Kya aap jaanna chahti hai mere adhurepan ke baare me... Main bachapan se hi dekh nahi sakta... Ye jo aap dab dabai ankho se dekh rahe hai... Inme roshani nahi hai... Ladkiyon ki khubsurti par na jaane kitne geet likhe hai maine... Lal gulabi hoth kale ghunghrale baal... Lekin Kya main in rango ki kalpana waise hi karta hu jaise ve hai... Maine to iss kaynaat ko kabhi dekha hi nahi... To iski kya kalpana karu me... Aur kya kalpanao me iska chitra banau... Iss liye man hi man kalpanaye karta hun, Aur phir khud hi un kalpanao ka gala ghot deta hu... Anushka ji aapne bhi apne sapno ke rajkumar ki koi chhavi to zarur bana rakhi hogi... Bhale hi vo kaisa bhi dikhe par kya aap ye kalpana kar sakti hai ki vo ek andha insaan hai... Nahi anushka ji... Ek andhe se koi mahobbat nahi karta... Aur mujhe ye mahobbat bheek me nahi chhaiye...

Post a Comment

0 Comments