Friend Character For Male and Female Audition Monologue - WoB Script 109

Friend Character For Male and Female Audition Script Monologue


Character   : Friend (Male / Female Actor)
Screenplay : Ek Friend apne bachpan ke sahar me dosto se milne aati/aata hai... or wahan dosto ke bich....


Dialogues For Male - Female Friends Audition Monologue : 

     Ji shukriya... Humein seher ghumane ke liye... Bahot accha laga yaha aa kar... Bahot kuch badal gaya hai na yaha... Lekin aap sab jaante ho... Yaha aur bahar ke desho (Other Country) mein zyada kuch fark nahi raha hai.. Bas waha rehkar yaha ki thodi aadatein chhut gayi hai... Jaise itna heavy khana.... Actually ye sab khane ki aadat nahi rahi ab... Yahan pehle chaar din toh constipation ka seen hota hai... Ha ha ha... Magar aapna desh apna hi hota hai....

     Thank you aapko sab ko.... Sabhi ne mera bahot acche se khyaal rakha... Siwaye iss shaitaan ke... Ohhh sorry...  (Pyaar se)... Matlab es dost ne... Isne mujhe bahot pareshaan kiya... Lekin ek baat hai... Isne hamare bachpan ki yaha ki saari yaadein taazi kar di hai... Aur ha ek baat... Main aap sabko bahot miss karungi/Karunga waha... (sad)... Par hum phir milenge sabhi... Jald aaungi / Aaunga main yaha... I promise... tab tak take care all....!!

Post a Comment

0 Comments