Brother Sister Character Audition Script Monologue - WoB Script 113

Brother Sister Character Audition Script Monologue


Character   : Brother/Sister (Male / Actor Both )
Screenplay : Bhai/Bahan love marriage ke liye papa ko manane ke bad bat krte huye...


Dialogues / Monologue For Brother Character Audition : 

     Congratulations sister finally teri shaadi fix hogyi.. Ab toh tu khush hai na? dekh main tere liye jo kar sakta tha sab kuch kiya... accha hi hua maine sahi time pe papa se baat karli thi... Heena tu bahot lucky hai... warna papa tere aur Ankur ke pyaar ko kabhi nahi maante.. Woh toh hamesha se hi love marriage ke bilkul against rahe  hai... Lekin tere bhai ke hote huye ayse thodi ho sakta hai?  meri sister khush rahe aur mujhe kya chahiye? mujhe pata tha ki papa agar Ankur se shaadi ke liye mana kar denge toh tera kya haal hoga... tujhe to pata hai... ye daur se mai bhi guzar chuka hu jab mein Anita se Pyaar karta tha.. Lekin papa ne meri shaadi Manisha se kara di... tab kuch samjhta nahi tha... Lekin aaj baat teri thi toh mujhe apne bhai hone ka farz nibhana hi tha... isliye maine papa ko samjha diya tha...  ki Heena jahan chahegi shaadi wahi hogi aur jab ladka itna accha hai, Well educated hai, job or paisa hai... toh mana kyu karna?.. chal chod ab ye sab aur khushi mana le... mithayi khila meko...


Dialogues / Monologue For Sister Character Audition : 

     Congratulations bhai finally teri shaadi fix ho hi gyi... Ab toh tu khush hai na? Dekh main tere liye jo kar sakti thi sab kuch kiya... accha hi hua maine sahi time pe papa se baat karli thi... Manat tu bahot lucky hai... warna papa tere aur Reet ke pyaar ko kabhi nahi maante... Woh toh hamesha se hi love marriage ke bilkul against rahe  hai... Lekin teri bahan ke hote huye aise thodi ho sakta hai?... mere bhai khush rahe aur mujhe kya chahiye?.... mujhe pata tha ki papa agar Anita se shaadi ke liye mana kar denge toh tera kya haal hoga... tujhe to pata hai... ye daur se mai bhi guzar chuki hu... jab mein Nilesh se Pyaar karti thi... Lekin papa ne meri shaadi Kamal se kara di... tab kuch samjhati nahi thi... Lekin aaj baat teri thi.... toh mujhe apni bahan hone ka farz nibhana hi tha... isliye maine papa ko samjha diya tha...  ki Manat jahan chahega shaadi wahi hogi aur jab ladki itni accha hai, Well educated hai, sanskari hai... toh mana kyu karna?... chal chod ab ye sab aur khushi mana le... mithayi khila merko...

Post a Comment

0 Comments