Aanath Boy Character Script Monologue - WoB Script 34

Aanath Character Script Monologue For Practice

Character    : Aanath Boy
Screen Play : ek Aanath ko Footpath pr Police pakad leti hai, Police or Aanath ke bich ka batchit

Dailouges    : Mera Naam.... Khash me aapko apna naam bata sakta
Waise to mera kai naam hai, Mera asli naam kta hai ye to mujhe bhi malum nahi hai, 
Koi mujhe pagal kahta hai, Koi deewana, Koi aawara to koi mujhe time pass kahte hai, 
Aap jo chahe us naam se chahe mujhe bula sakte hai, 
Ab mujhe mera pata nahi puchana sahab, Mujhe to mera khud ka pata nahi to aap ko kya batau,
Bas yahi kahunga ki Footpath mera bustar hai or aashman meri chhat, Or Berojgari mera kabhi na sath chhodne wala hamdard.
Iske alawa mere do or Jigri Dost hai Bhukh or Garmi, 
Apne bare me jitna bhi janta tha wo bata diya, Ab chahe to aap mujhe lockup ke sakakho ke piche dal de ya raham karke dakke maar kar Mujhe yaha se bahar nikal de, Mujhe koi farak nahi padta hai, Bahar aajadi hai magar roti nahi, Yaha Kaid me chhat ke sath sath do wakat ki roti to mufat me nasib hogi, 
Ab me janana chahta hu, Mere baare me aapne kya faisla liya.

Post a Comment

0 Comments