Suicide Not A Solution Male Audition Script Monologue For Practice -WoB Script 15

Suicide Not A Solution Male Audition Script Monologue For Practice

Dailouges - Main Doctor nahi banana chahta papa... Mujhe Nahi Samajh ye aati doctory, Agar ban bhi gaya to bahut kharab doctor banunga, sayad mere hatho se kisi ka operation bhi nahi ho payenge, Qki mujhse kisi ki body or khun ko nahi dekha jata hai, 
Teena hamesha kahti hai,
Ki.. Jo Kaam jis kam me maja aaye, jisme man lage, jo Dil kahe wahi kam karna chahiye, Usse apna profession banana chahiye, 
Papa stability jayada nahi hai par sikhne ko bahut kuch milega, Doctor banke frustrate ho jaunga, Fir zindagi bhar aapko or khud ko kosta rahunga, 
Papa me Actor banana chahta hun, Muje Actor banana hai, Muje tv me aake aapko loving you dad bolna hai, 
Papa Acting meri jaan hai agr me doctor bana to ye jaan meri nikal Jayegi, or bina jaan koi rah nahi pata hai, Esliye papa me ye soch soch ke apni hi life me ulajhata ja raha hun, ki aakhir karu to kya karu, 
Ab to mujhe akelapan sa mahsus hone laga hai, Kabhi Kabhi mera man karta hai ki Suicide kar lu, lekin suicide is not a solution, 
Papa aapka beta kabhi Suicide nahi karega, Aapka beta ekdm khara Hira hai jo aapka naan roshan karega, Mitti me nahi milayega, Lekin Papa ek probalams hai aap hi bataye main karu to kaya kru??.....
ok papa to pahle me Doctor ki padhai kar leta hu taki mere pas degree rahegi, agr mera acting me career nahi ban payega to me koi ek chota sa clinic khol lunga lekin aapko kabhi budhape me kamane nahi dunga, 
Papa Doctor ki padhai ke bad me Mumbai jaunga or waha Audition wagera dunga, mujhme junun hai or actor banane ke gun bhi hai, meri acting skills bahut achi hai ye art ke teacher kahte hai, teacher kahte hai ki me Acting ne try kyu nahi karta, Mene School ke kahi Program me Participate kiya, Un sabh me main 1st aaya tha, 
Papa aap ab khush ho na ki aapka Raja beta doctor ki padhai bhi karega or acting bhi karega, 
Papa... bolo na papa, Maa bhi bahut khush hogi, Wo hamesa kahti thi ki me unka Hiro beta hu...

Written by : RK Prajapati

Post a Comment

0 Comments