Female Script 8 – MahaMantri Ki Beti

Female Script 8 – MahaMantri Ki Beti


Character - Mandira  (Single Character) 
Screenplay - Mahamantri Ki Beti Apni Khud ki Sundarta or Rajkumar Ki Rani Banane ke Sapne ko Apni Sakhi se Share Kar Rahi Hai.

Dailouges 
                  To Fuli Batao Es Rajye (State) Me Sabse Khubsurat Koun Hai, Mujhe Pata Hai Tum Kya Kahogi, Mandira, Mandiro Ki Ghantiyo Me Jitni Khanak Nahi Hai Usase kai Jyada to Mandira Ke Roop Me Hai, Hai Na..

                  (Chidhte Huye) Kya Kaha Tumne, Rani Hirawati, Usase Jyada Khubsurat Or Koi Nahi?
(Hanste Huye) Fuli kitni Nadan Ho Tum, Meri Umar Unse Bahut Kam Hai, Or Unhe Bhram Hai Ki Wo Kabhi Budhi Nahi Ho Sakti, Aisa Kabhi Hota Hai? , Hoga to Kuch Aisa Jo Rani Hirawati Ne Kabhi Nahi Socha Hoga, 

                  Wo Din Hoga, Wo Wo Samay (Time) Hoga, Wo Muhurat Hoga or Rani Hirawati ke Hath me wo Chawal ka Kalash Hoga, Jo wo Khud Mere Pairo Par Rakhegi or Kahegi, Aao Bahu, Ghar Prvesh Karo.
(Muskurate Huye) Mandira Ke Dil Me Ek Hi Rajkumar Hai, Kunwar Veer....

          Main Mahamantri Jeet Singh Ki Putri Hun, Or Ek Din Yahi Putri, Navalgarh ke Raja, or Navalgarh par Raj Laregi.

Post a Comment

0 Comments